Amjad Islam Amjad







Daryea mein qatre ki surat
gum ho jao
Apne ap se bahr niklo
Tum ho jao














Wo jo manzilein wafa ki mere rastoon mein ayi
Wo jo lazatein talab ki mere shouq ne uthai
Unhe ab bhi jama kr ke kabhi dheyan mein jo lao
To hajome rang-o-boo mein koi rasta na pao








Wo jo ek khawab si raat thi
mere bakht mein
unhi ek pal mein guzar gayi
wo guzar gayi to pata chala
wohi ek kam ki cheez thi
meri zindgani ki rakht mein











Mein geya tha us gali mein kai khahishein lekr
wo jo the buhut shanasa
unhi khirkiyon se abtk
kisi rukh ki roshni se na chirag koi larza
na koi sitara chamka na hi phool koi aya dil-e-muntazir ki janib
na uthai koi cilman kisi daste-e- purkhana ne
na saba ki daskaton se koi parda sarsaraya
mwein geya tha us gali mein kai khaheishein pahn kr








Na wada ha koi tum se koi rishta nibhane ka
Na koi or hi dil mein tahiya ya irada ha
kai din se magar dil mein
ajeeb uljhan si rehti ha
Na tum is dastaan ki sarsari kirdar hu koi
na qisa itna sada ha
talaq jo mein samjha tha kahi us se zeyada ha








No comments:

Post a Comment